Friday, October 29, 2010

Aulia Allah ka Kutta honay ka maqam

Aa'oozobillahi Minash Shaitaanir Rajeem
Bismillahir Rehmanir Raheem
Sallallaho Ala Mohammadiyun Wa Aaalihi Wasallam


Kal raat Rehmani Silsilay k aik Buzurg, Hazrat Hafiz Qari Mumtaz Ahmed Rehmani ALaih Rehma kay urs ki taqreeb main jana huwa jahan Hazrat Maula Akram Saeedi Sahab ko Aulia Allah ki sifaat k bayan k hawalay say dawat di gaye thee - dauran e bayan unhon nay farmaya k

AIK DAFA MERA SUKKUR (SINDH) AIK MEHFIL MAIN JANA HUWA TO MAINAY APNAY BAYAN MAIN YEH KEHDIYA K

Main to Aulia Allah ka Kutta hoon

TO KAHEN SAY AIK PAPER AAYA JIS PAY KISI BE ADAB SHAKHS NAY YEH LIKHA THA K


Hum kayee mehfilon main shareek huwe magar is tarah ka jumla kahen sunnay ko nahen mila k main to Aulia Allah ka kuta hoon agar apnay aap ko kutta kehna he tha to Allah ka kutta kehtay to Maulkana sahab nay bharay majmay main farmaya k

MAIN TO AULIA ALLAH HE KA KUTTA HOON - AUR PEHLAY YEH SUNLO

AULIA ALLAH K KUTTAY KO QURAN E KAREEM SAY KOYEE NAHEN NIKAAL SAKTA JABKAY ALLAH KA KUTTA TO MASJID MAIN BHE NAHEN DAAKHIL HOSAKTA - AB BATAO K ALLAH KA KUTTA BANNA PASAND HAY YA AULIA ALLAH KA


Mafhoom e Bayan:
Quran e Kareem main Aulia Allah k kuttay say muraad ASHAB E KAHAF k kuttay QITMEER hay - Qitmeer woh kutta hay jo agar be nisbat hota to shayad Jannat main janay ka haqdaar nahen hota magar Aulia Allah yani (ASHAB E KAHAF) say nisbat ki waja say unkay saath jaanay say us kuttay ko yeh maqaam mila k woh jannat main unhe logon k saath hoga

No comments:

Post a Comment